GMCH STORIES

Ehsaas

( Read 21884 Times)

06 Sep 17
Share |
Print This Page
Ehsaas
Kuch ajeeb hi hai ye
mohabbat ka fasaana
Chupana chahte hain
Per aata nhi chupana

Bahut se ehsaas bhi hai
Aur aneko jazbaat bhi hain
Samajhte suljhate se ye uljhane
Bana baithe khud ko deewana

Chura k dil ko jo
meethe se ehsaas jagaaye aapne
Roshan ho gya achanak
Ye dil jo tha veerana
Na jaane haqiqat hai ya khwaab
Per gar hai ye khwaab
To nhi chahte khud ko jagaana

Darte bhi hain ikraar se
Kyunki bada kharaab hai ye nazar-e zamana
Per chahte bhi beshumaar hai tumhe
Aur chahat bhi ab yahi ki
ban jaaye tera mera ik afsaana


ЁЯШКNeetu Sidana ЁЯШК
Source :
This Article/News is also avaliable in following categories : Literature News
Your Comments ! Share Your Openion

You May Like